National Games Mini-Olympics Ke Jaise Hai

Olympian Aur Former Swimming Champion Nisha Millet Ne National Games Ko Mini-Olympics Se Equate Kiya Hai. Unhone Kaha Ki Ye Games Har Indian Athletes Ke Calendar Mei Sabse Important Events Hote Hai.

Millet, Jinhe Ki 1999 Mei Best National Games Athlete Ka Award Diya Gaya Tha 1999 Mei, Unhone Kaha Ki Kisi Bhi Athlete Ke Liye Isse Achi Feeling Nhi Ho Skti Hai. Unhe Lagta Hai Ki Ye Event Athletes Ke Liye Opportunity Create Karta Hai Taaki Wo Apne Trade Mei Better Perform Kar Sake.

Games Ke Three Editions Mei Compete Kiya Hai Unhone Aur Har Baar Hi Inhone Pools Mei Aag Lagai Hai Apne Performance Se. Unhone 1994 Mei Pune Mei Huye National Games Mei Participate Kiya Tha Aur Ek Bronze Medal Jeeta Tha, Aur 1997 Ka Banglore Aur 1999 Ka Imphal Editions Unka Best Tha.

Unhone Banglore Mei Whopping Eight Gold Medals Aur Imphal Mei 14 Gold Medals Jeeta Tha, Aur Dono Hi Occasion Mei ‘Talk Of the Town’ Bann Gai Thi.

“Ye Ek Long Journey Thi Banglore Se Imphal Tak Aur Mujhe Yaad Hai Ki Pool Bahot Cold Tha. 1999 Ki Important Meet Thi Kyu Ki Uske Baad Hi 2000 Mei Sydney Mei Olympics Games Hone Wale The,” Unhone Add Krte Huye Kaha.

Millet Khush Hai Ki Almost Sabhi Major Swimming Star Rajkot Mei Hone Wale 2022 National Games Mei Participate Karne Wala Hai, Jisse Ki Isme Competition Bhi Bahot Tough Hoga.

“Ye Bahot Exciting Hone Wala Hai. Bahot Se Big Battles Dekhne Ko Milenge. Established Stars Bhi Chizo Ko Granted Nhi Lete. Mujhe Lagta Hai Ki Mai New Champions Ko Dekhungi. Kuch Juniors, Seniors Ko Surprise Kar Denge,” Unhone Kaha. Arjuna Award Winner Hope Karti Hai Ki National Games Regularly Ho.

“Ye Games Young Athletes Ke Morale Ko Boost Karte Hai Aur Unki Help Krte Hai Winning Habits Ke Sath Used Too Hone Mei.Wo State-Of-The-Art Sports Infrastructure Bhi Create Krte Hai Jo Ki Bahot Critical Hota Hai. Sabhi Athletes Ko Best Facilities Bhi Ensure Karai Jaati Hai,” Unhone Add Krte Huye Kaha.

Millet Ne Recently Hi Ek Swimming Academy Open Ki Hai Banglore Mei Jo Ki Tiny Tots (One Year Olds Aur Above) Par Focus Krti Hai. Inhone Khud Ko DY Patil Swimming Initiative, Navi Mumbai Ke Sath Associate Bhi Kar Rakha Hai. Wo Sports Ko Wapas Dene Wali Apni Philosophy Ke Under Ye Kar Rahi Hai.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*